"Mahabharat" DD National

Dear Readers, aaj ka post kuch aisa hai jise shabdo me bayan karna kam se kam mere bas ki baat nahi, par vo bhi kya yaadain thi jab ghar-parivar ya gaon ke log apna saara kaam khatam kar ke ek saath ye serials kisi ki Chhat (छत ) ya Chowk me baithkar dekha karte the q'ki limited TV sets hote the, Well ye hai "MAHABHARAT".


Vese to is Epic (महाकाव्य ) ke basics se sabhi ru-b-ru hai, par baat karte hai kuch facts ke baare me kuch naya is baar, well, is Epic ke baare me jab bhi sochta hu to Garv hota hai Bharat ki Sanskriti, Gyan or Sabhyata kitni Vishaal or Samruddh rahi hai, Author ki kalpana or unke dhairya ka koi jawaab nahi... or ye mahaj kalpana rahi hogi aisa yakin kar pana mere liye mushkil hai.

Khair aapko batau ki ye "the longest known poem ever written" hai jisme takriban 1,00,000 Shalok hai, doosre shabdo me agar kahhu to Ramayan se bhi kareeb 4 guna jayada Length is Mahakavya ki hai.
Is rachna ka Mukhya bindu (Core point) to Hastinapur Rajya par Shashan pana hai jike liye Kurushetra ka Yudh hota hai par ussey pehle ye kahani bahut saare mod leti hai, dekha jaye to Krishna or Daupadi bhi is gaatha ke kendra bindu hi rahe hai.


  Sabse pehle dekhte hai Mahabharat Title Track


Doston ye Title Track dekhne ke baad mujhe to iski making me bhi interest tha ki jitni Amazing (अदभुत ) ye Gaatha likhi gayi thi utne ache dhang se iska onscreen Direction, Screenplay, Songs aur Character selection bhi hua tha. To chale dekhte hai Making Of all Songs in Mahabharta, jisme majority of songs ko Aawaz di hai Mahendra Kapoor ji ne.


Ye to thi Mahabharat ki shuruaat, par is Gaatha me kaafi saare aise mod aate hai jise baar baar dekhne ka mann karta hai, jese ki Bhishma Pratigya, Krishna ka Vishwaswaroop, Daupadi Vastraharan aise hi kuch ghatnao ke Clippings dekhte hai...

Bhishma Pratigya


Draupadi ka duryodhana par hasna or ye kehna ki "Andhe ka putra andha"


Krishna bane Shanti doot, paandavo ki or se maang ki kewal 5 gaavo ki par Duryodhan ke apmaan par bhare darbaar me dikhya "Vishvaroop"


Bua ko diya hua vachan ki 100 apmaano tak sahan karenge, uske baad hi hoga "Shishupal Vadh"



Draupadi’s vastraharan full episode


Mahabharat me jesa ki mene pehle kaha ki Daraupadi ki is Gaatha me ek ahem bhumika hai Daraupadi kaafi Suljhe or Uljhe raaston se gujari hai fir chahe vo Draupadi ka Swayambar ho, Daraupadi Vastraharan ho ya Daraupadi Pratigya ho...



Draupadi ka Swayambar aur Arjun ki dhanur vidhya me kushalta


"Bheem aur Bakasur" ki ladai 

Is Ladai se jayada gaur karne wali baat jo mujhe lagi ki kese bheem ne khud ye Jimmedaari li ki is asur ka vadh vo khud hi karenga or phir jitna bhi khane ka saamaan le jaya gaya ussey Bheem ne jis andaaz me Swayam hi kha jate hai ye dekhna kaafi manoranjak hai...


"Virata Yudh" me Arjun bane sarathi uttar ke or us waqt vo ek Hinjare ke vesh me the jise Brihannala kaha jata tha


In sab ke baad yaha se Shuru hota hai "Kurukshetra Yudh" jisme Abhimanyu ka vadh or Vyuh ki rachna, Karan ke Kawach or Kundal, Krishna Updesh or Viratroop...

Gita Updesh ke baad "Krishna ka Virat swaroop" rann me


Is Clip me Krishna ka Virat Roop dekhne ko milta hai, par ussey bhi jayada mujhe vo dialogue acha  lagta hai jo Dhritrasatra Sanjay ko bolte hai, Mujhe mere durbhagya ke aakade batane ki jaroorat nahi hai sanjay,  ye baat us waqt kahi jaati hai jab Sanjay Krishna ke Viratswaroop ka Varnan karne se mana karte hai or phir ye bhi kehte hai ki : hey Maharaj kaash aap Maharishi Vyas se  Divya drishti le liye hote to aap bhi ye viraat roop dekhkar dhanya ho gaye hote...


"Abhimanyu vadh" or "Chakravyuh" ki rachana

Abhimanyu ke baare me kuch baatain, Sabse pehle to ye ki Abhimanyu ke Pita jaroor Arjun the par mata Daraupadi nahi thi, Subhadra thi, or Abhimanyu ka vivah hua tha Uttara se.
Kaha jaata hai ki Abhimanyu Veerta me apne Pitashree Arjun se bhi bade Maharathi the, or aap is baat ka andaaza isi se laga le ki mahaj 16 saal ki umar me hi vo apne se Shrestha Mahaveero se akele yudh kiya jisme Drona, Karna, Bhishma, Duryodhana, Dussasan aadi shaamil the...
Ye baat bhi hai ki jis chakravyuh me vo maare gaye us vyud ko todna unhone apni maata ke Garbh me sikha tha.


Daanveer "Karan ka Kawach Kundal" Indradev ko Daan me dena


"Karan vadh"


Pata nahi kyu yeh jaante hue bhi ki kis tarah in Maha yodhaao ne ek akele Abhimanyu ka Chhal se vadh kiya jisme ki Karan bhi Shaamil the, par jab usi chhal se Arjun ne Karan ka Vadh kiya to dil me kahi ek dard hua jisme karan ke liye thodi sahanubhuti bhi thi...


"Bhim & duryodhan" ki antim ladai, "Duryodhana Vadh"

Is ladai ka sabse majedaar Scene vo hai jisme Krishna Bheem ko Duryodhana ke Jangha par waar karne ka Ishara karte hai or Kehte hai "Manjhale Bhaiya AHO AHO..."


"Dhritrashtra ka Pratishodh"

"Mahabharta Closing" A Must Watch Video, Behind the Scene Real Climax on the Set of Mahabharat...

Ye Mahabharat Gaatha ka koi ansh to nahi hai par, Is gaatha par bane is Programme ko jin kirdaaro ne nibhaya tha, vo aaj jab set ka Closing day tha tab ek doosre se Judaa ho rahe the, vo yaadain, vo lamhe, vo saara unit maano ki, maala toot rahi thi or moti bikharne ko ho rahe the, bade naajuk palo ka ek yaadgaar lamha is Clip me sanjoya hua hai... ek baar jaroor dekhe is video ko.


Doston is post ke end me main un sabhi logo ka, kirdaaro ka, us mahaan samay ka or us samay me janme us mahaan lekhak ka tahe dil se shukriya ada karna chahta hu, jinhone is Bharat ko ek aisa Naayaab tohfa Viraasat me diya... 

Comments

  1. This Article is great! among others, it is really very helpful.
    These Hindi TV Serial Full Episodes Available. All India Free Home Delivery, All Episodes In Dvd. Just Five Hundred. Anyone Need These Tv Serial All Episodes. Contact Me. Cell : 9688778500, 9688779499

    ReplyDelete

Post a Comment